Monday, August 4, 2014

New post!

मुझे गँवारा नहीं हैं ....उधार की खुशियाँ.... मैं अपने ग़मों में रहता हूँ.... नवाबों की तरह umr jalwon mein basar ho yeh zarori to nahi her shab e gham ki sahr ho yeh zarori to nahi neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai unki aaghosh mein sir ho yeh zarori to nahi aag ko khail patangon ne samajh rakh hai sub ko anjaam ka dar ho yeh zarori to nahi shaikh karta hai jo masjid mein khuda ko sajde iske sajdoon mein asar ho yeh zarori to nahi sub ki saqi pe nazar ho yeh zarori hai magar sub pe saqi ki nazar ho yeh zarori to nahi koi dil mein liyeh armaan chala jata hai koi khoye hoay ausan chala jata hai husn walo se yeh kehdo ke na nikle bahir dekhne walo ka eeman chala jata hai bholi surat hai baatein hein bholi mou mein kuch hai magar dil mein kuch hai laakh chehra saheeh chaand jaisa dil ke taalon se Allah bachae +----------+ Humari hansi ab na jane kyun humko gawara nahi, Apne hi dard me hansu itna bhi mai aawara nahi. +----------+ Zindagi mujh se kehti hai har dam udaas mat rahiye, Main kehta hoon mujhe ek wajah to de hasne ke liye. +----------+ Zindagi tera koi ahsaan nahi hai mujh pe Maine duniya mein her ek saans ki qeemat di hai +----------+ Hume kya maloom the ke aise bhi zamane aayenge Log karenge katal humara aur hum kaatil kehlayenge +----------+ Aye khuda agar yeh sach hai ke pyar me tera wajood nazar aata hai, Toh phir kyun toot jaate hai dil aur khud tera wajood bikhar jata hai!! +----------+ Sabak wafa ka jise yaad hoga, mohabbat mein wahi barbaad hoga Suna hai Ishq karne wala ab wafa ki shart se aazaad hoga +----------+ Abhi is taraf na nigah kar, main gazal ki palkein sawar loon Mera lafz lafz ho aaina, tujhe aaine mein utar loon +----------+ Dil gumsum, zuban khamosh, Yeh aankhen aaj nam kyon hai. Tujhe kabhi paaya hi na tha, To aaj khone ka ghum kyon hai +----------+ Maine jab bhi dil ki shama jalai hai,koi aandhi jaroor aayi hai Amanat samjha hai har gham aur haste haste nazar milai hai +----------+ Kuch aaj waqt ka takaza hai,Dil me zakhm abi taaza taaza hai Gir padte hain aansu mere kagaz par,Lagta hai Kalam mein Syaahi kam or dard jyaada hai +----------+ Koshish Hi Nahi Alfaaz Ki,Chahat Ko To Zaroorat Hai Bas Ehsaas Ki Paas Hote To Manzar Hi Kya Hota, Door Se Khabar Hai Hume Aapki Har Saans Ki +----------+ Kuch iss kadar meri shaksiyat mein shaamil hai tu, Teri yaad na aye iss waaste kudh ko bhulaye baithe hain +----------+ Khud ko khud ki khabar na lage, Koi accha bhi is kadar na lage Aap ko dekha hai bas us nazar se, Jis nazar se aap ko nazar na lage - :Shiri!!

No comments:

Post a Comment